(Beytaab Dil)
(Parveen Shakir)
tumhari yaad k manzar kabhi khoney nahi dety...
tumhari yaad ke saay hamein soney nahi dety...
yeh badal,phool aur khushbo bohat betab karty hai...
agar rona bhi chahein hum,kabhi roney nahi detay...
hum apni saans de kr rok lety jany waloon ko...
hamara bas agar hota,juda hony nahi detey...
nazar mai deed ki hasrat,liye chup chap bethy hain...
wo hum se door reh kar bhi hamein soney nahi dety...
hum ko gali main dekh kar khud ko chopa liya... jany ye dushmanoon ne usy kya sikha diya... ghar us ne kya banaya masjid ke samny... chahat ne uski hum ko nimazi bana diya...!
gureez-eshaab se seher se Qalam rakhty hain... kabhi wo din thy zulfoon mai shaam rakhty thy... tumhare haath lagey hain to jo karo so karo... wagarna tum sey to hum soo ghulaam rakhty hain... ye aur bat humein dosti na raas aye... hawa thi sath to khushboo muqaam rakhty thy... na'jany kon c rut mai bichar gaye woh loog... jo apny dil mai bohat ehteraam rakhty thy... woh aa to jata kabhi,hum to uske rastoon par... diyyea jalay hoa subha-o-shaam rakhty thy...!
*...Rona To Yehi Hai, Zindaghi mein,,, *...Dhokha Hi To Bass Na Khaa Sakay Hum,,, *...Jo Haasil-E-Waaqeya Hai, Ye Hai,,, *...Bas Khud Mein Nahi Samaa Sakay Hum......!