Monday, December 31, 2012

Poetry

Saj Sakti Hai Mehfil-e-December Abhi Kuch Lamhey Baki Hain,
Agar Chaho Agar Sumjho Meri Mano To Lout Aao...!

Poetry


زندگی سے گلہ کر کے بھی روئے، موت کی دُعا کر کے بھی روئے

عجب مزہ تھا نمازِ محبت میں‌،ادا کر کے بھی روئے قضاء کرکے بھی روئے

Poetry

Mujhay Dar Hai Kay Ab Ki Baar Woh ...!!

Mujhay Badal Na Day , Naye SaaL KI Dairy Ki Tarhan ..!!!

Poetry

Teri Muhabbat Se Le Kar Tere Alvida Kehnay Tak....

Meine Sirf Tujhe Chaha , Ba-KHUDA Tujh Se Kuch Nahi Chaha. :/

Poetry

wo jo khud ko hussn e hoor samjh baithy hain

ko0n janta tha unhain hamari mohabbat se pehle............!!!!

Poetry

Aao is rooh e mohabbt ko kaheen dafnain..

Is ny hr shakhs ko sooli py charrha rakha hy...!

Poetry

gureez-eshaab se seher se Qalam rakhty hain...
kabhi wo din thy zulfoon mai shaam rakhty thy...
tumhare haath lagey hain to jo karo so karo...
wagarna tum sey to hum soo ghulaam rakhty hain...
ye aur bat humein dosti na raas aye...
hawa thi sath to khushboo muqaam rakhty thy...
na'jany kon c rut mai bichar gaye woh loog...
jo apny dil mai bohat ehteraam rakhty thy...
woh aa to jata kabhi,hum to uske rastoon par...
diyyea jalay hoa subha-o-shaam rakhty thy...!

Poetry

nazar na aye meri mohabbat to is zamany ko...
khair'teri adawat ke charchy to zubaan zubaan hoa....!

Poetry

hum ko gali main dekh kar khud ko chopa liya...
jany ye dushmanoon ne usy kya sikha diya...
ghar us ne kya banaya masjid ke samny...
chahat ne uski hum ko nimazi bana diya...!

Poetry

pocha jo un se chaand nikalta hai kis tarhan...
zulfoon ko rukh pe daal ke jhatka dia,ke yun...!

Poetry

umaar raigaan kar di tab ye baat mani hai...
mout or mohabbat ki aik hi kahani hai...!

Poetry

maat kar khaak ke putley per gharoor-o-be'niyazi itni...
khud ko khudi mai jhaank ke dekh tujh mai rakha kya hai...!

Poetry

baat qismat ki hai jo juda ho gaye hain hum...
warna woh to mujhe apni taq'deer kaha karta tha...!

Poetry

mujh se mohabbat ki hai to wafa ka wada bhi karo...
main bikharna nahi chahti,tootey hoa kanch ki tarhan...!

Poetry

uff !woh naram laboon ka dheerey se kehna...
koi dekh na ley,ab mujhe jany do...!

Poetry

meri ye adat nahi ke kisi ko hal-e-dil sunaon...
par bohat takleef hoti hai,hall-e-dil chpany mai...!

Poetry

meri ye adat nahi ke kisi ko hal-e-dil sunaon...
par bohat takleef hoti hai,hall-e-dil chpany mai...!

Poetry

uske dil pe bhi kya khoob guzri ho gi...
jis ne aik marz ka naam mohabbat rakha...!

Poetry

bohat rooye wo humare pass aa kar
jab ahsas hoa unheen apni ghalti ka...
chup karwaa detey hum agar!
chehrey pe humarey Qafan na hota...!

Poetry

jisey khud se hi nahi fursateen...
jisey khiyaal apny jamal ka...
usey kya khabar mery shook ki...
usey kya pata mery haal ka...!

Poetry

usy kahna,ke uski yaad mai be'haad azeyat hai...
yaa apna naaqsh dhoo jay,ya mera phir se ho jay...!

Poetry

mujhe na satao itna ke main rooth jao tum se...
mujhe acha nahi lagta apni sansoon se juda hona...!

Poetry

kal raat barasti rahi sawan ki ghata bhi...
or hum bhi teri yaad mai dil khool ke roye...!

Sunday, December 30, 2012

Poetry

mukhtasir baat ye hai ke tery bina...
zindagi ki samjh nahi aa rahi mujhe...!

Poetry

hum mohabbat ki inteha kar dain...
haan magar ,ibteda kare koi...!

Poetry

Zehar Aalood Sahi , Lab Pe Muskrahat To Saja . . .

Kuch Bicharne K Bhi Aadab Hua kartey Hain . . !!

Poetry

Tajarba Aik Hi ibrat Kay Leye Kaafi tha ...

Main ne Dekha Hi Nahi ishq Dubara Kr Kay ...!!!

Poetry

Chalo Bus Ab Maan Bhi Jao Na
~*~~*~
Nahi Aata mujhe Fun Kisi ko Mananay Ka,
Faqat Itna hi Kehti Hon
“Chalo Bus Ab Maan Jao Na”
~*~~*~

Tumharay Nazdeek Agar Meri Hansi Dilkash Hai,
To Main Muskura k Kehti Hon
“Chalo Bus Ab Maan Jao Na”
~*~~*~

Agar Tum Dekhna Chaho Mere Aankh Mai Aansu,
Tou Mai Ro Ro k Kehti Hon
“Chalo Bus Ab Maan Jao Na”
~*~~*~

Saza Dene Se Hoti hai Gar Tassalli Tumha,
To Phir Mai Kaan Pakar K Kehti Hon
“Chalo Bus Ab Maan Jao Na”
~*~~*~

Dekho Aise Kisi Se Roothna Acha Nahi Hota,
Ab Main Bohat Maan Se Kehti Hon
“Chalo Bus Ab Maan Jao Na”
~*~~*~

Tum Gar Chaho k Mere Saans Bhi Na ho Baaki,
To Main Dam-e-Aakhir Kehti Hon

Chalo Bus Ab Maan Jao Na...
"CHALO BAS AB MAAN JAO NA"...!

Poetry

Judai mout hoti hai
Kabhi fursat mile to dekhna patton ka girna tum
K kaise ya sajar se gir zameen per aaan parte hain
To kaise roondh jate hain
Thitharti raat k khamosh lamhoon main
Kisi bebas akeli bewafa khamosh larki ki
kabhi tum siskiyaaan sunna
Kabhi kataaar se bachri hui konjon k nohe per
Nigaaah kerna
K kaise aik dooje ki judai per
Tarap ker baen kerti hain
Kabhi rukhsat k lamhoon main
kisi ki ankh se larazte hue ansoo ko dekho gi
To tum ya jaan jao gi
Judai mout hoti hai
Abhi tum ne
Mohabbat k baraste Bhegte mausam nahi dekhe
Abhi tum titliyooon k rang muthi main chupate ho
Abhi tum muskurate ho
Suno jana!
kabhi jo zindagi ne ajnabi rahoon per,
Tumhari ya hasi cheni
To phir ansoo bahao gi
Tum itna jaan jao gi
Judai mout hoti hai...!!!

Poetry

Pathro,,! Tumhari Auqat
He Kya........

Us Shakhs Ka
"DiL",, Uff Toba...!!

Poetry

Meri dil-O-dimagh Pe Humdum, Kuch Aisey Hy Tera Basera

Ik Shakhs Ho Tum Sabke Wastey, Mere Liye Sara Jaha'n Ho ♥

Saturday, December 29, 2012

Poetry

Mohabbat, Bheek hai shaayad____!!

Bari mushkill sayy milti hai____!!

Poetry

Kisi Ki Masoom Hansi K Peechey Dard Ko Mehsoos To Kar ,

Suna Hai Aksar Log Hans Hans K Khud Ko Saza Detey Hai'n...!

Poetry

Ki mohabbat tou seyasat ke chalan chorr diye
Hum pyaar na karte tou hakoomat karte.........!

Poetry

HuM jese barBad DiloOn ka
Kya jeeNa" aur kya "Marna"
Aj Tere ♥ Dil sa NiklaY hain
kal DuniyA se Nikal jaen ge...!!!

Poetry

Mosum Badal Raha Hai Apna Kheyal Rakhna
Q K
Badalty Mosum or badalty Loog Dono He Bohat Taklef Dety Hein...!!!

Poetry

Munhasir Ehl-e-Sitam Per Hi Nahin Mohsin,
Loog Apno’n Ki Anayat Se Bhi Mar Jatey Hain......!

Poetry

Mujhy Aksar sitaron se yehi aawaz aati hai
kisi k hijr mai neendain ganwa k kuch nahi milta

Jigar ho jaye ga Challni ye aankhain Khoon Royengi
"Wasi" be-faiz logon se nibha k kuch nahi milta...!

Poetry

Bahar Rut me Ujaar Raste'
Takka Kro ge To Ro Pro ge,

Kisi se Milne Ko Jb B MOhsin
Sja Kro gy To Ro pro gy,

Tumhare Wadon ne Yar Mujh Ko
Tbah Kia he Kuch is Trah se,

K Zindgi me Jo phr Kisi se
Dagha Kro ge To Ro Pro gy,

Main JanTa Hun Meri MohabT
Ujaar De gi Tumhe B aisy,

K Chaand Raton me Ab Kisi se
MiLa Kro ge To Ro pro ge,

Brasti Barish main Yaad Rakhna
Tumhain Staayn gi meri Ankhein,

Kisi Walli k Mzaar pr tum
Dua kro ge to Ro pro ge

Poetry

Raat ke pichley peher uthataa hai,
Dard-e-dil tahajjud guzaar ho jese..!

Poetry

baat muqadar par aa kar ruki hai wrna

koi kasar to na chori thi tujhe chahne me..!

Poetry

Mere Chehre se mera Dard na Parh Pao ge,
Wasi,
Meri Aadat hai har baat Pey Muskura dena..!

Poetry

baat muqadar par aa kar ruki hai wrna

koi kasar to na chori thi tujhe chahne me..!

Poetry

Mere Chehre se mera Dard na Parh Pao ge,
Wasi,
Meri Aadat hai har baat Pey Muskura dena..!

Poetry

Mohabat baaqi rehny Per Yaqeen Kitna Tha Donoo Ko,,,,
Yahan Har Cheez Faani Hai, Na Tum Samjhe Na DiL Samjha.. !

Poetry

ishq se tabiyat ne zeest ka maza paya...
daard ki dawa pai,daard be'dawa paya...!

Poetry

unhein ye khuwaahish ke hum zubaan se izhar karen...
humein ye aarazoo ke woh dil ki zubaan samajh lein...!

Poetry

mujhe khaak main mila ke meri khaak bhi urra dey...
terey naam pe mitti hoon,mujhe kya ghaarz nishaan se...!

Poetry

ye meri dosti hai koi rait pe likha naam nahi...
"naina"
isey moat hi mita sakti hai ye tere bus ki baat nahi...!

Poetry

chiragh-e-aftaab gum!
bari haseen raat thi...
shabaab ka naqaab gum!
bari haseen raat thi...
mujhe pila rahey thay woh!
k khud hi shama bujh gai...
Glass Gum!
Sharaab Gum!
bari haseen raat thi...
laboon se lub mil gaye!
laboon se lub jo sil gaye!
Sawaal Gum!
Jawaab Gum!
bari haseen raat thi...
likha tha jis kitaab mein...
k ishq to haraam hy!
"FARAZ" woh
Kitaab Gum!
Nisaab Gum!
bari haseen raat thi...!

Poetry

main usko soch soch ke pathar ki ho gai...
janey woh shaks kis tarhan jadu sa kar gaya....!

Poetry

woh mujhe zindagi samjhta hai...
kiya usey mera aitebaar nahi...!

Poetry

mujh main be'lous mohabbat ke siwa kuch bhi nahi...
tum agar chahoo to meri sansoon ki talashi le lo...!

Poetry

agar ishq karna sawab hota yaqeen karo...
na tum se hota na hum se hota...!

Poetry

dil udass rehta hai...
barishoon ke mosam mai...
zindagi pighalti hai...
barishoon ke mosam mai...
waqt theher jata hai...
muntazir nigahoon mai...
jangaloon ke khatrey mai...
bastiyoon ki rahoon mai...
ho sakey to lout ana...
piyaar ki panahoon mai...
ishq ka ajara hai...
dil ki shahrahoon par...!!

Poetry

dil ye chahta hai ke apni tehreer mai...
har satar mai tera hi naam likhoon...
har ik fiqra,har ik misraa..
terey hi naam intesab likhoon...
magar ye mumkin kahan hai jana...
bohat se auraq qitab-e-zindagi se juda ho ke...
phaat chuke hain...
waqt ne rastey mai kantey daley...
jin ko chun'ne ki la'hasil koshishoon mai...
sab ke hathoon mai zakham aye...
sabak ka unwaan badal gaya...
ab terey naam kia intesaab likhoon...
kai rutoon ke khuwaab likhoon...
jo hans ke jheeley azaab likhoon...!!

Poetry

hum ne dekhi hai in ankhoon ki mehekti khushboo..
hath se choo kar isy rishtoon ka ilzaam na do...
sirf ahsas hai isy rooh se mehsoos karo...
pyar ko pyar hi rehny do koi naam na do...
pyar koi bool nahi,pyar koi awaz nahi...
ik khushboo hai ke sansoon mai basi rehti hai...
na ye rukti na ye chalti haina theherti hai kaheen...
noor ki bond hai sadiyoon se baha karti hai...
sirf ahsas hai isy rooh se mehsoos karoo...
piyar ko piyar hi rehny do koi naam na do...!

Poetry

SAQI ne ki jo Maast nigahoon se peeshkash...
TOBBA ke bawajood bhi PEENI pari mujhe...!

Monday, December 24, 2012

Poetry

haar baat zindagi main bari deer se hoi...
manzil pe aa gaye to humein hum'safar mily...!

Poetry

kabhi is taraf jo guzar ho,meri chashm-e-naam ko bhi dekhna...
teri badd'gumani ki agg ne mujhe kya se kya bana diya...!

Poetry

in Qurbatoon ne or bhi tanha sa kar diya..
ab darmiyaan humare koi fasla nahi...!

Poetry

na ho jaye husan ki shaan mai ghustakhi kaheen...
tum chaly jao tumhain dekh ke pyar ata hai...!

Poetry

zara sa jhoot hi kah do humare bin adhory ho...
zara si bat kahny se tumhara kya bigarta hai...!

poetry

kisi ki yaad main itna udaas na hoa kar...
loog naseeb se milty hain udasiyoon se nahi...!

Sunday, December 23, 2012

Poetry


tu hai soraaj tujhe maloom kahan raat ka dukh
tu kisi rooz mere ghar main utar shaam ke baad...!

Poetry


meny to yun hi dekha tha tujhe deedar-e-shooq ki khatir...
"naina"
tum dil mai utar jao gey kabhi socha na tha...!

Poetry


chalo "Mohsin" Mohabbat ki nae bunyaad rakhty hain..
k khud paaband rehty hai,usy aazad rakhty hain..
humarey khoon may Rabb ne,yehi taseer rakhi hai...
Buraai bhool jatey hai,achai yaad rakhty hai...
Mohabbat mai kahen hum se,Gustakhi na ho jaye...
Hum apna har QadaM Us k Qadam k Bad rakhtey hain...!

Poetry


ab jo rishtoon main bandha hoon to khula hai mujh par...
kab parendey urrh nahi patey hain paroon ke hoty....!

Poetry


na jany kon si majboriyoon ka Qaidi hoo...
bichar gaya hai to tum usko be'wafa na kaho...!

Poetry


Zaang na lag jaye mohabbat ko kahein...
Roothny manany ke silsiy rakho...!

Poetry


1 badsha k samny 1 aallim 1 nabina 1 ghareeb 1 aashiq baithy thy..
sher o shairi ka muqabla ho raha tha.
badsha ny kaha Main apko dosra misra sunata hun pehla misra ap
loogon ko banana ho ga...
Badsha: "Esliye tasveer-e-jana'n hm ny banwayi nahi"...

Aallim: But'Parasti deen-e-Ahmad may kabhi aayi nahi..
Esliye tasver-e-jana'n hum ny banwayi nahi....!

Gharib: Mangta pesy Musawwir,jaib may payi nahi...
Esliye tasver-e-jana'n hum ne banwai nahi...!

Ashiq: Aik sy jab do huwy phir lutf-e-yaktayi nahi...
Esliye tasver-e-jana'n hum ne banwai nahi....!

Nabina: mujh may benayi nahi or es may goyayi nahi...
Esliye tasver-e-jana'n hum ny banwai nahi...!

Poetry

Matt Kar Khak Ke Putle Par Garoor Wa Bey Niyazee Itne
Khud Ko Khudi Mein Jhank Kar Dekh Tugh Mein Rakha...!

Saturday, December 22, 2012

Poetry

Udasi,Shaam,Tanhai,kasaak yadoon ki be'chaini...
mujhe sab soonp ke suraj utar jata hai panni main...!

Poetry

ankhoon ki bateen ankheen hi janein ya phir ye pagal dil...
ankhoon se to kuch bhi na kaha or har baat ho gai...!

Poetry

mujhe bhi pata tha ke loog badal jaty hain...
"magar"
main ne kabhi tumhain logoon main ginna hi nahi tha...!

Friday, December 21, 2012

Poetry

Ye jo zindagi ki kitab hai,
Ye kitab bhi kia kitab hai,
Kaheen ik haseen sa khawab hai,
Kaheen jaan lewa azab hai,
Kaheen aansuon ki hai daastan,
Kaheen muskrahaton ka bayan hai,
Kai chehre is mein chupe huay,
Ik ajeeb sa ye naqab hai,
Kahin kho dya, kaheen paa lia,
Kaheen ro lia, kaheen gaa liya,
Kaheen cheen leti hai har khushi,
Kaheen meharbaan be-hisaab hai,
Kaheen dhoop hai,
Kaheen aur hi koi roop hai,
Kaheen barkaton ki hain barishein,
Kaheen tishnagi be-hisaab hai,
Ye jo zindagi ki kitaab hai,
Ye kitaab bhi kiya kitaab hai...

Thursday, December 20, 2012

Poetry

na utha nazar na gira nazar
na teri nazar ko lagye nazar
rahye cham-e-mast niqaab main
ye hi andaaz ashiqana hai....!

Tanhai

Akela Sa Mehsus Karo Jab Tanhai Me,
Yaad Meri Aaye Jab Judai Me,
Mehsus Karna Tumhare Hi Paas Hoon Main,
Jab Chahe Mujhe Dekh Lena Apni Parchai Me.

Poetry

Teri dosti ne diya sukun itna ke terey bad koi acha na lagay..
tuney karni hai agar bewafai to is adaa se kar ke tere bad koi bewafa na lagay..