Sunday, December 23, 2012

Poetry


tu hai soraaj tujhe maloom kahan raat ka dukh
tu kisi rooz mere ghar main utar shaam ke baad...!

Poetry


meny to yun hi dekha tha tujhe deedar-e-shooq ki khatir...
"naina"
tum dil mai utar jao gey kabhi socha na tha...!

Poetry


chalo "Mohsin" Mohabbat ki nae bunyaad rakhty hain..
k khud paaband rehty hai,usy aazad rakhty hain..
humarey khoon may Rabb ne,yehi taseer rakhi hai...
Buraai bhool jatey hai,achai yaad rakhty hai...
Mohabbat mai kahen hum se,Gustakhi na ho jaye...
Hum apna har QadaM Us k Qadam k Bad rakhtey hain...!

Poetry


ab jo rishtoon main bandha hoon to khula hai mujh par...
kab parendey urrh nahi patey hain paroon ke hoty....!

Poetry


na jany kon si majboriyoon ka Qaidi hoo...
bichar gaya hai to tum usko be'wafa na kaho...!

Poetry


Zaang na lag jaye mohabbat ko kahein...
Roothny manany ke silsiy rakho...!

Poetry


1 badsha k samny 1 aallim 1 nabina 1 ghareeb 1 aashiq baithy thy..
sher o shairi ka muqabla ho raha tha.
badsha ny kaha Main apko dosra misra sunata hun pehla misra ap
loogon ko banana ho ga...
Badsha: "Esliye tasveer-e-jana'n hm ny banwayi nahi"...

Aallim: But'Parasti deen-e-Ahmad may kabhi aayi nahi..
Esliye tasver-e-jana'n hum ny banwayi nahi....!

Gharib: Mangta pesy Musawwir,jaib may payi nahi...
Esliye tasver-e-jana'n hum ne banwai nahi...!

Ashiq: Aik sy jab do huwy phir lutf-e-yaktayi nahi...
Esliye tasver-e-jana'n hum ne banwai nahi....!

Nabina: mujh may benayi nahi or es may goyayi nahi...
Esliye tasver-e-jana'n hum ny banwai nahi...!

Poetry

Matt Kar Khak Ke Putle Par Garoor Wa Bey Niyazee Itne
Khud Ko Khudi Mein Jhank Kar Dekh Tugh Mein Rakha...!